jigar  aur  dil  ko  bachānā  bhī  hai
nazar  aap  hī  se  milānā  bhī  hai
mohabbat  kā  har  bhed  paanā  bhī  hai
magar  apnā  dāman  bachānā  bhī  hai
jo  dil  tere  ġham  kā  nishāna  bhī  hai
qatīl-e-jafā-e-zamāna  bhī  hai
ye  bijlī  chamaktī  hai  kyuuñ  dam-ba-dam
chaman  meñ  koī  āshiyāna  bhī  hai
ḳhirad  kī  itā.at  zarūrī  sahī
yahī  to  junūñ  kā  zamānā  bhī  hai
na  duniyā  na  uqbā  kahāñ  jā.iye
kahīñ  ahl-e-dil  kā  Thikānā  bhī  hai
mujhe  aaj  sāhil  pe  rone  bhī  do
ki  tūfān  meñ  muskurānā  bhī  hai
zamāne  se  aage  to  baḌhiye  'majāz'
zamāne  ko  aage  baḌhānā  bhī  hai