kuchh  tujh  ko  ḳhabar  hai  ham  kyā  kyā  ai  shorish-e-daurāñ  bhuul  ga.e
vo  zulf-e-pareshāñ  bhuul  ga.e  vo  dīda-e-giryāñ  bhuul  ga.e
ai  shauq-e-nazāra  kyā  kahiye  nazroñ  meñ  koī  sūrat  hī  nahīñ
ai  zauq-e-tasavvur  kyā  kiije  ham  sūrat-e-jānāñ  bhuul  ga.e
ab  gul  se  nazar  miltī  hī  nahīñ  ab  dil  kī  kalī  khiltī  hī  nahīñ
ai  fasl-e-bahārāñ  ruḳhsat  ho  ham  lutf-e-bahārāñ  bhuul  ga.e
sab  kā  to  mudāvā  kar  Daalā  apnā  hī  mudāvā  kar  na  sake
sab  ke  to  garebāñ  sī  Daale  apnā  hī  garebāñ  bhuul  ga.e
ye  apnī  vafā  kā  aalam  hai  ab  un  kī  jafā  ko  kyā  kahiye
ik  nishtar  zahr-āgīñ  rakh  kar  nazdīk-e-rag-e-jāñ  bhuul  ga.e