barbād-e-tamannā  pe  itaab  aur  ziyāda
haañ  merī  mohabbat  kā  javāb  aur  ziyāda
ro.eñ  na  abhī  ahl-e-nazar  haal  pe  mere
honā  hai  abhī  mujh  ko  ḳharāb  aur  ziyāda
āvāra  o  majnūñ  hī  pe  mauqūf  nahīñ  kuchh
milne  haiñ  abhī  mujh  ko  ḳhitāb  aur  ziyāda
uTTheñge  abhī  aur  bhī  tūfāñ  mire  dil  se
dekhūñgā  abhī  ishq  ke  ḳhvāb  aur  ziyāda
Tapkegā  lahū  aur  mire  dīda-e-tar  se
dhaḌkegā  dil-e-ḳhāna-ḳharāb  aur  ziyāda
hogī  mirī  bātoñ  se  unheñ  aur  bhī  hairat
aa.egā  unheñ  mujh  se  hijāb  aur  ziyāda
use  mutrib-e-bebāk  koī  aur  bhī  naġhma
ai  sāqi-e-fayyāz  sharāb  aur  ziyāda