Hanif Fauq

kya nazar ki hushyari KHud-asir-e-masti hai

Hanif Fauq

kyā nazar kī hushyārī ḳhud-asīr-e-mastī hai
jo nigāh uThtī hai mahv-e-ḳhud-parastī hai
bādaloñ ko taktā huuñ jaane kitnī muddat se
ek buuñd paanī ko ye zabāñ tarastī hai
ik janam ke pyāse bhī sair hoñ to ham jāneñ
yuuñ to rahmat-e-yazdāñ chār-sū barastī hai
raat ġham kī aa.ī hai hoshiyār dil vaalo
dekhnā hai ye nāgin aaj kis ko Dastī hai
shāyad aaj ā.īna dil kā TuuT hī jaa.e
phir nazar kī vīrānī zindagī pe hañstī hai
maiñ ne apnī palkoñ par ġham-kade sajā.e haiñ
aarzū ke mātam meñ sogvār hastī hai
ab ba-tābish-e-aḳhtar tīrgī hai afzūñ-tar
raushnī bhī bik jaa.e ye kamāl-e-pastī hai
Top Urdushayar.com