kisī  maqām  pe  ham  ko  bhī  roktā  koī
magar  uḌaa.e  liye  jaatī  hai  havā  koī
tamām-umr  na  mujh  ko  milā  vajūd  mirā
tamām-umr  mujhe  sochtā  rahā  koī
mujhe  sameT  lo  yā  phir  uḌā  ke  le  jaao
ye  kah  ke  rāh-e-talab  meñ  bikhar  gayā  koī
yūñhī  sadā.eñ  na  do  ḳhāmushī  ke  sahrā  meñ
havā  chalegī  to  aa  jā.egī  sadā  koī
kisī  ko  apnī  nigāhoñ  pe  e.atibār  na  thā
hameñ  hamārī  tarah  kaise  dekhtā  koī
hazār  sañg  haiñ  rāhoñ  meñ  ab  bhī  so.e  hue
ye  aur  baat  hai  ham  ko  jagā  gayā  koī
badan  ke  dasht  ko  ham  jis  se  paar  kar  lete
kahīñ  milā  na  hameñ  aisā  rāsta  koī
maiñ  band  kamre  meñ  ḳhāmosh  rah  to  saktā  huuñ
mire  badan  meñ  agar  ghuT  ke  mar  gayā  koī