vo  jo  har  raah  ke  har  moḌ  par  mil  jaatā  hai
ab  ke  pūchheñge  ki  us  shaḳhs  kā  qissa  kyā  hai
maiñ  vo  patthar  huuñ  nahīñ  jis  ko  milā  sañg-tarāsh
maiñ  ne  har  shakl  ko  apne  meñ  samo  rakkhā  hai
yūñhī  chup-chāp  bhalā  baiThe  rahoge  kab  tak
koī  darvāza  kahīñ  yuuñ  bhī  khulā  kartā  hai
jab  bhī  girtī  hai  kisī  kūche  meñ  koī  dīvār
mujh  ko  lagtā  hai  koī  shaḳhs  bahut  royā  hai
paañv  jalte  haiñ  yahāñ  jism  bhī  jal  jā.egā
tum  ne  kiyā  soch  ke  sahrā  meñ  qadam  rakhā  hai
TūTte  bante  hī  ye  umr  guzar  jā.egī
merī  har  shakl  meñ  ik  naqs  ubhar  aatā  hai
ham  ne  har  daur  ke  siine  meñ  haiñ  ghoñpe  ḳhanjar
aur  har  daur  ke  siine  se  lahū  Tapkā  hai
tum  ne  pūchhā  hai  ki  tum  kyā  ho  kahāñ  ho  kyuuñ  ho
ye  to  batlāo  ki  is  soch  meñ  kyā  rakkhā  hai
dasht  ke  peḌoñ  se  kyā  pūchh  rahe  ho  'ābid'
bhuul  jaao  ki  tumheñ  koī  sadā  detā  hai