tum  ne  jab  ghar  meñ  añdheroñ  ko  bulā  rakkhā  hai
uTh  ke  so  jaao  ki  darvāze  pe  kyā  rakkhā  hai
har  kisī  shaḳhs  ke  rone  kī  sadā  aatī  hai
phir  kisī  shaḳhs  ne  bastī  ko  jagā  rakkhā  hai
apnī  ḳhātir  bhī  koī  lafz  tarāsheñ  yaaro
ham  ne  kis  vāste  yuuñ  ḳhud  ko  bhulā  rakkhā  hai
dekhne  ko  hai  badan  aur  haqīqat  ye  hai
ek  malba  hai  jo  muddat  se  uThā  rakkhā  hai
tū  agar  thā  to  bahut  duur  the  ham  tujh  se  ki  ab
tū  nahīñ  hai  to  tujhe  paas  biThā  rakkhā  hai
ham  kisī  tarah  tujhe  DhūñD  leñ  mumkin  hī  nahīñ
tū  ne  har  raah  ko  sahrā  se  milā  rakkhā  hai