Abid Almi

jo shaKHs tujhko farishta dikhai deta hai

Abid Almi

jo shaḳhs tujh ko farishta dikhā.ī detā hai

vo aa.ine se Darā dikhā.ī detā hai

kiyā thā dafn jise farsh ke tale kal raat

vo aaj chhat se utartā dikhā.ī detā hai

tirī nigāh meñ mumkin hai kuchh aTak jaa.e

mujhe to sirf añdherā dikhā.ī detā hai

savāl zehn meñ chubhte haiñ nashtaroñ tarah

ye ḳhuun bhī mujhe hotā dikhā.ī detā hai

ḳhalā meñ Duub chukī hai nigāh jab merī

vo pūchhte haiñ tujhe kyā dikhā.ī detā hai

nigaltā jaatā hai chup-chāp ḳhushk jañgal use

ye āftāb to ThanDā dikhā.ī detā hai

naqāb badlo kuchh aise ki mo.ajiza ho jaa.e

hujūm varna bikhartā dikhā.ī detā hai

tumhārī yaad ke dariyā tamām suukh chale

jahāñ-tahāñ mujhe sahrā dikhā.ī detā hai

sadā.eñ gūñjtī rahtī haiñ rāt-bhar kis

makān vaise to suunā dikhā.ī detā hai

jo peḌ tum ne lagāyā thā mere āñgan meñ

vo is baras mujhe girtā dikhā.ī detā hai

Top Urdushayar.com