vo  ik  nigāh  jo  ḳhāmosh  sī  hai  barsoñ  se
ye  kaun  jaane  vo  kyā  kah  rahī  hai  barsoñ  se
hamāre  chehroñ  pe  ab  apnā-pan  nahīñ  ugtā
ye  vo  zamīñ  hai  jo  banjar  paḌī  hai  barsoñ  se
badan  kā  saarā  lahū  māñgtā  hai  vo  ik  lafz
nigāh  zehn  kī  jis  par  Tikī  hai  barsoñ  se
kahāñ  se  lā.ūñ  vo  tasvīr  jo  banī  hī  nahīñ
nazar  meñ  gard  uḌe  jā  rahī  hai  barsoñ  se
mirī  nigāh  meñ  din  hai  mire  badan  meñ  hai  raat
mirī  kitāb  adhūrī  paḌī  hai  barsoñ  se
samundaroñ  meñ  kabhī  bādaloñ  ke  ḳhemoñ  meñ
ik  aag  mujh  ko  liye  phir  rahī  hai  barsoñ  se
kahāñ  kahāñ  liye  phirtī  hai  raat  ko  'ābid'
vo  ik  sadā  jo  mujhe  DhūñDhtī  hai  barsoñ  se