bā-samar  hone  kī  ummīd  pe  baiThā  huuñ  maiñ
apnī  taqdīr  meñ  bārānī  ilāqa  huuñ  maiñ
hiddat-e-lams  mujhe  ātish-e-ehsās  lagā
barf-ālūd  havāoñ  kā  jamāyā  huuñ  maiñ
mere  kirdār  ko  is  daur  ne  samjhā  hī  nahīñ
qissa-e-ahd-e-guzishta  kā  havāla  huuñ  maiñ
umr  hai  rassī  pe  chalte  hue  shole  kī  tarah
khel  meñ  geñd  pakaḌtā  huā  bachcha  huuñ  maiñ
hañstā  huuñ  kheltā  huuñ  chīḳhtā  huuñ  rotā  huuñ
itne  mutazād  ravayyoñ  kā  Thikāna  huuñ  maiñ
har  na.e  paat  kī  aamad  kī  ḳhushī  mujh  se  hai
aur  har  jhaḌtī  huī  shāḳh  kā  sadma  huuñ  maiñ
aise  māhaul  kā  hissa  huuñ  jo  merā  nahīñ  hai
kabhī  fariyād  sarāpā  kabhī  shikva  huuñ  maiñ