Qasim Yaqub

dast-e-hunar jhaTakte hi zaea hunar gaya

Qasim Yaqub

Faisalabad, Punjab, Pakistan

1978
dast-e-hunar jhaTakte hī zaa.e.a hunar gayā
chāragarī nahīñ rahī jab chāra-gar gayā
hastī se mil gayā mujhe kuchh nīstī kā fahm
sahrā vahāñ milā jahāñ dariyā utar gayā
kyā ho sake hisāb ki jab āgahī kahe
ab tak to rā.egānī meñ saarā safar gayā
vo ek jazba jis ne jamāl-āshnā kiyā
manzar haTā to jism ke andar hī mar gayā
shāyad sar-e-hayāt mujhe aa mile kabhī
ik shaḳhs mere jaisā na jaane kidhar gayā
Top Urdushayar.com