Rahbar Jaunpuri

taKHt-nashinon ka kya rishta tahzib-o-adab ke sath

Rahbar Jaunpuri

taḳht-nashīnoñ kā kyā rishta tahzīb-o-ādāb ke saath
ye jab chāheñ jañg karā deñ rustam kī sohrāb ke saath
zulm-o-tashaddud ke shaidā.ī shāyad tujh ko ilm nahīñ
tere bhī sapne TūTeñge mere har ik ḳhvāb ke saath
kañkar patthar kī tāmīreñ maz.hab kā mafhūm nahīñ
zehnoñ kī ta.amīr bhī kiije gumbad aur mehrāb ke saath
qātil ban kar vo bhī khaḌe haiñ aaj hamāre pesh nazar
ham ne jin ko izzat baḳhshī ezāz-o-alqāb ke saath
urdu ko ḳhud ḳhuun bahā kar joḌ rahe haiñ rishte log
'ġhālib'-o-'momin' 'munshī'-o-'mullā' 'chakbast'-o-'sīmāb' ke saath
rafta rafta Duub rahe haiñ maiḳhāne vīrānī meñ
jab se merī pyaas kā rishta qaa.em hai zahrāb ke saath
aivānoñ meñ amn-o-aḳhūvvat kī jo bāteñ karte haiñ
apnā apnā dāman dekheñ kashmīr-o-panjāb ke saath
yāroñ kī totā-chashmī kā āḳhir itnā shikva kyuuñ
'rahbar' tum bhī kab muḳhlis the ḳhud apne ahbāb ke saath
Top Urdushayar.com