Rahbar Jaunpuri

anjam-e-intiha-e-safar dekhte chalen

Rahbar Jaunpuri

anjām-e-intihā-e-safar dekhte chaleñ
ab gaañv aa ga.e haiñ to ghar dekhte chaleñ
guzre nahīñ haiñ ham bhī kabhī is dayār se
kaisā hai ḳhvāhishoñ kā nagar dekhte chaleñ
phir ehtimām-e-ma.arka-e-marg-o-zīst hai
teġhoñ se khelte hue sar dekhte chaleñ
sāhil pe sahme sahme zamāna guzar gayā
dariyā kā aaj zer-o-zabar dekhte chaleñ
jin qātiloñ kā shahr meñ charchā hai in dinoñ
jī chāhtā hai un kā hunar dekhte chaleñ
fursat kahāñ hai utnī ki tafsīl se paḌheñ
aḳhbārī surḳhiyoñ meñ ḳhabar dekhte chaleñ
Top Urdushayar.com