ab  to  apne  jism  kā  saaya  bhī  begāna  huā
maiñ  tirī  mahfil  meñ  aa  kar  aur  bhī  tanhā  huā
vaqf-e-dard-e-jāñ  huā  mahv-e-ġham-e-duniyā  huā
dil  ajab  shai  hai  kabhī  qatra  kabhī  dariyā  huā
terī  aahaT  ke  ta.āqub  meñ  huuñ  sadiyoñ  se  ravāñ
rāstoñ  ke  pech-o-ḳham  meñ  Thokareñ  khātā  huā
lazzat-e-dīdār  kī  ai  sā.at-e-raḳhshāñ  Thahar
paḌh  rahā  huuñ  maiñ  tire  chehre  pe  kuchh  likkhā  huā
ab  to  tere  husn  kī  har  anjuman  meñ  dhuum  hai
jis  ne  merā  haal  dekhā  terā  dīvāna  huā
vo  samay  ruḳhsat  hue  hamdam  vo  shāmeñ  kho  ga.iiñ
kin  ḳhayāloñ  ke  jhameloñ  meñ  hai  tū  uljhā  huā