terī  talab  meñ  aise  giraftār  ho  ga.e
ham  log  ḳhud  bhī  raunaq-e-bāzār  ho  ga.e
kyā  ḳhvāb  thā  ki  kuchh  nahīñ  Thahrā  nigāh  meñ
kyā  aks  thā  ki  naqsh-ba-dīvār  ho  ga.e
hadd-e-nazar  bichhā  thā  tirī  diid  kā  samāñ
jo  rāste  the  sahl  vo  dushvār  ho  ga.e
un  ko  bhī  apne  naam  kī  hurmat  aziiz  thī
jo  terā  saath  dene  pe  tayyār  ho  ga.e
biphrā  huā  badan  kisī  qātil  se  kam  na  thā
ham  bhī  vufūr-e-shauq  meñ  talvār  ho  ga.e
go  apne  paas  ek  nazar  ke  sivā  na  thā
ham  har  but-e-hasīñ  ke  ḳharīdār  ho  ga.e
ye  shahr  zalzaloñ  ke  thapeḌoñ  se  hil  gayā
kyā  kyā  ajab  mahal  the  ki  mismār  ho  ga.e
ḳhvāhish  kī  uljhanoñ  pe  koī  bas  na  chal  sakā
da.ave  fusūn-e-yār  ke  be-kār  ho  ga.e