phir  ruk  nahīñ  sakā  huuñ  kisī  bhī  chaTān  se
aisā  girā  huuñ  roz-e-azal  āsmān  se
hai  jabr  meñ  bhī  ek  gumāñ  iḳhtiyār  kā
do  chaar  har  qadam  pe  hoñ  ik  imtihān  se
ab  maiñ  huuñ  aur  havāoñ  kī  sāzish  kā  sāmnā
ik  tiir  huuñ  chalā  huuñ  qazā  kī  kamān  se
ik  aa.ina  ki  jis  meñ  kahīñ  baal  paḌ  gayā
ik  silsila  ki  TuuT  gayā  darmiyān  se
gum-sum  khaḌe  haiñ  ab  dar-o-dīvār  aur  maiñ
vo  log  kab  ke  jā  bhī  chuke  haiñ  makān  se
ḳhushiyāñ  jo  mujh  ko  mil  na  sakīñ  is  jahān  meñ
mujh  ko  bulā  rahī  haiñ  na.e  ik  jahān  se
is  baat  kā  'jamīl'  mujhe  kuchh  pata  nahīñ
iqrār  kar  rahā  huuñ  maiñ  jis  kā  zabān  se