huā  chalī  to  nasha  chhā  gayā  fazāoñ  meñ
ḳhayāl  Duub  gayā  duur  kī  sadāoñ  meñ
na  haath  aa.e  mire  dauḌte  hue  lamhe
safar  kaTā  hai  mirā  bādaloñ  kī  chhāñv  meñ
meñ  apne  shahr  ke  naqsh-o-nigār  bhuul  gayā
kisī  ne  luuT  liyā  mujh  ko  chaaT  gaañv  meñ
na  ishq  kī  koī  manzil  na  husn  kā  koī  taur
ye  aag  kaise  giraftār  ho  vafāoñ  meñ
ye  fāsloñ  ke  sarāboñ  se  sair  ho  na  sake
na  jaane  tishnagī  kitnī  hai  mere  paañv  meñ
qadam  qadam  pe  mujhe  sajda-gah  nazar  aa.e
ghirā  huā  huuñ  maiñ  bandoñ  meñ  yā  ḳhudāoñ  meñ
ise  bhī  gāhe-ba-gāhe  nigāh  meñ  rakhnā
'jamīl'  bhī  to  hai  tere  ġhazal-sarāoñ  meñ