ḳhud  apnī  zaat  kā  nām-o-nishān  bhuul  ga.e
rihā  hue  to  parinde  uḌaan  bhuul  ga.e
is  inhimāk  se  kār-e-zamīñ  meñ  mahv  hue
zamīñ  pe  chhāyā  huā  āsmān  bhuul  ga.e
har  imtihān  meñ  pahlā  sabaq  to  yaad  aayā
kitāb-e-ishq  kahīñ  darmiyān  bhuul  ga.e
na  Thaharnā  hī  munāsib  na  uTh  ke  jaanā  hī
balā  ke  ghar  meñ  hameñ  mezbān  bhuul  ga.e
us  ajnabī  kī  rifāqat  meñ  aisī  ḳhushbū  thī
ham  apne  saare  safar  kī  thakān  bhuul  ga.e
na  kar  numūd  kī  ḳhvāhish  ki  ye  jahāñ  vaale
baḌe-baḌoñ  kā  bhī  nām-o-nishān  bhuul  ga.e
kuchh  is  tarah  ġham-e-umr-e-ravāñ  ne  ḳhaak  kiyā
firāq-o-vasl  kī  sab  dāstān  bhuul  ga.e