har  samt  rañg-o-nūr  kā  dariyā  dikhā.ī  de
har  mauj-e-rañg  meñ  tirā  chehra  dikhā.ī  de
har  aa.ine  meñ  terā  sarāpā  dikhā.ī  de
koī  to  is  jahān  meñ  apnā  dikhā.ī  de
tai  kis  tarah  ho  jāda-e-nairañg-e-ārzū
har  gaam  terā  naqsh-e-kaf-e-pā  dikhā.ī  de
kirneñ  gurez-pā  haiñ  to  ḳhushbū  bahāna-jū
ai  kaash  koī  apnā  shanāsā  dikhā.ī  de
ik  dāman-e-nazar  ki  bachānā  muhāl  hai
ik  sho.ala-e-badan  ki  lapaktā  dikhā.ī  de
duniyā-e-rañg-o-nūr  bahut  be-karāñ  sahī
pesh-e-nazar  jo  tū  hai  to  phir  kyā  dikhā.ī  de