go  husn  kī  sūrat  haiñ  mirī  samt  ravāñ  bhī
ik  ḳhvāb  sī  lagtī  haiñ  mujhe  raushaniyāñ  bhī
kuchh  apnī  kaho  Dūbte  tāroñ  ko  na  dekho
shāyad  na  mile  phir  ye  nashāt-e-guzarāñ  bhī
sochā  thā  ki  lūTūñ  tirī  furqat  ke  ḳhazīne
dekhā  na  gayā  tere  bichhaḌne  kā  samāñ  bhī
kuchh  dil  bhī  hai  merā  ġham-e-ayyām  se  bojhal
kuchh  shaam  kī  dahlīz  se  uThtā  hai  dhuāñ  bhī
kis  ajnabī  rah-rav  ke  ta.āqub  meñ  chalā  hai
pā.egā  na  tū  ret  pe  qadmoñ  ke  nishāñ  bhī
kartā  huuñ  kabhī  chashm-e-taḳhayyul  se  nazāra
hotā  hai  kabhī  tujh  pe  mohabbat  kā  gumāñ  bhī
tū  hāsil-e-manzil  bhī  mirā  rāh-numā  bhī
tū  mujh  se  gurezāñ  bhī  qarīb-e-rag-e-jāñ  bhī