Meraj Lakhnavi

sham-e-alam se pahle bhi subh-e-tarab ke baad bhi

Meraj Lakhnavi

shām-e-alam se pahle bhī sub.h-e-tarab ke ba.ad bhī

shauq-e-talab na miT sakā tark-e-talab ke ba.ad bhī

phir ye vahī ġham-e-firāq phir hai vahī kisī yaad

uf ye siyāh-baḳhtoñ ruḳhsat-e-shab ke ba.ad bhī

farz thā ehtirām-e-dost tak magar na ruk sake

baat laboñ tak aa ga.ī pās-e-adab ke ba.ad bhī

saarā ġhurūr-e-āshiqī ḳhaak meñ mil ke rah gayā

ho gayā un sāmnā tark-e-talab ke ba.ad bhī

raunaq-e-zīst ho ga.ī vaqt talḳhiyoñ meñ gum

lab pe hañsī na aa sakī izn-e-tarab ke ba.ad bhī

jo bhī ho ab ma.āl-e-ġham jo bhī ho ab nasīb-e-ishq

maiñ ne diye sabā diye ālam-e-shab ke ba.ad bhī

chaliye mirī ḳhatā sahī apnā karam bhī dekhiye

jaam na mil sakā mujhe daur meñ sab ke ba.ad bhī

Top Urdushayar.com