dīvāroñ  ko  dil  se  bāhar  rakhne  vaale
ham  banjāre  kāñdhe  par  ghar  rakhne  vaale
kuuch  kā  jab  bhī  gajar  baje  uTh  kar  chal  deñge
bañdhā  huā  ham  apnā  bistar  rakhne  vaale
kaisī  parvāzeñ  kaisī  āzād  fazā.eñ
kunj-e-qafas  meñ  ḳhush  haiñ  shahpar  rakhne  vaale
aañch  se  jugnū  kī  chaTTāneñ  sulag  rahī  haiñ
sho.ale  ugaleñ  mom  kā  paikar  rakhne  vaale
be-chehrā  lamhe  bhī  ā.īna  rakhte  haiñ
pas-manzar  haiñ  apnā  manzar  rakhne  vaale
nā-vāqif  haiñ  harfoñ  kī  tauqīr  se  'aslam'
sheroñ  meñ  lafzoñ  kā  daftar  rakhne  vaale