libās-e-gul  meñ  vo  ḳhushbū  ke  dhyān  se  niklā
mirā  yaqīn  bhī  vahm-o-gumān  se  niklā
hamāre  saath  hī  ab  āñdhiyāñ  bhī  chaltī  haiñ
ye  tarz-e-ham-safarī  bādbān  se  niklā
kuchh  is  tarah  se  bañdhe  haiñ  zamīñ  kī  Dor  se  ham
ki  ḳhauf-e-gum-rahī  ūñchī  uḌaan  se  niklā
naqīb  meñ  DhūñDh  rahā  thā  fasīl-e-shab  meñ  magar
mirā  ġhanīm  mire  hī  makān  se  niklā
ab  is  ke  ba.ad  koī  rāsta  na  koī  safar
qadam  hisār-e-zamān-o-makān  se  niklā
ajiib  kashmakash-e-jabr-o-iḳhtiyār  rahī
ġham-e-hayāt  isī  darmiyān  se  niklā
nadī  se  pyaas  milī  hai  isī  gharāne  ko
ki  jis  ke  vāste  paanī  chaTān  se  niklā