Aslam Farrukhi

zad pe aa jaega jo koi to mar jaega

Aslam Farrukhi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1923-2016

zad pe aa jā.egā jo koī to mar jā.egā

vaqt kaam guzarnā hai guzar jā.egā

ḳhud use bhī nahīñ ma.alūm hai manzil apnī

jaane vaale se na pūchho vo kidhar jā.egā

aaj añdherā hai to kal koī charāġh-e-ummīd

matla-e-vaqt pe sūraj nikhar jā.egā

is taraf aag dariyā hai udhar dār-o-rasan

dil vo dīvāna ki jā.egā magar jā.egā

koī manzil nahīñ baaqī hai musāfir ke liye

ab kahīñ aur nahīñ jā.egā ghar jā.egā

kū-e-qātil meñ tahī-dast ko miltī nahīñ

jo bhī jā.egā liye haath meñ sar jā.egā

kitnī tārīkī hai shahr-e-dil-o-jāñ par taarī

koī andāza nahīñ kaun kidhar jā.egā

ek gul-dasta banāyā thā pa-e-rāhat-e-jāñ

ab ye andesha hai har phuul bikhar jā.egā

ek din aisā bhī qismat se mile jab 'aslam'

raqs kartā huā mahbūb-nagar jā.egā

Top Urdushayar.com