mahfiloñ  meñ  zikr  us  kā  jab  chhiḌā  mere  liye
pūchhtā  har  ek  se  dil  kyā  kahā  mere  liye
kyā  marāThī  aur  urdu  ziist  ke  mīzān  meñ
ek  ghar  paanī  hai  to  duuje  havā  mere  liye
jab  kabhī  āvāz  dī  tū  ne  mujhe  to  ye  lagā
dair  kī  ho  ghanTiyāñ  terī  sadā  mere  liye
safha-e-hastī  pe  likkhā  be-ḳhudī  meñ  ek  naam
saañs  lene  kā  sabab  vo  ban  gayā  mere  liye
jab  kahā  us  ne  ki  do  hai  jism  apne  ek  jaan
ye  purānā  khel  par  khelā  nayā  mere  liye