tere  aane  kī  ḳhabar  detī  rahī  pāgal  havā
tujh  talak  merī  hayā  le  kar  ga.ī  pāgal  havā
dhuup  kachchī  shaam  tanhā  aur  añdheroñ  kā  hujūm
un  meñ  apnā  aks  dikhlātī  chalī  pāgal  havā
din  Dhale  ghar  lauT  aanā  qufl  karnā  hasrateñ
kyuuñ  nahīñ  ye  ḳhatm  hotā  sochtī  pāgal  havā
shahr  meñ  tere  haiñ  tujh  ko  bhūlne  kī  zid  baḌī
be-sabab  dil  kī  baḌhātī  bekalī  pāgal  havā
ab  to  ye  aalam  magar  vo  ḳhush  nahīñ  maiñ  bhī  nahīñ
us  kā  har  ġham  mujh  se  aksar  bāñTtī  pāgal  havā
lab  pe  aatī  baat  rah  jaatī  laboñ  ke  darmiyāñ
aam  mat  kar  rāz-e-dil  kah  roktī  pāgal  havā
hukmarāñ  kahne  lagā  hai  chor  hai  saare  makīñ
dekhtī  ahl-e-vatan  kī  bebasī  pāgal  havā