tujhe  dekhā  mirī  āñkhoñ  meñ  jab  shādābiyāñ  aa.iiñ
tirī  be-mehr  āñkhoñ  meñ  tabhī  be-zāriyāñ  aa.iiñ
na  jaane  aur  kyā  kyā  kah  rahī  thī  vādiyāñ  mujh  se
tirā  jab  zikr  chheḌā  thā  ajab  ḳhāmoshiyāñ  aa.iiñ
hisār-e-yās  kī  jānib  sadā.eñ  aa  rahī  garche
mahz  chehre  nahīñ  aa.e  ka.ī  parchhā.iyāñ  aa.iiñ
hameñ  shohrat  bulandī  tak  agar  le  ke  chalī  aa.ī
magar  saa.e  tale  is  ke  ka.ī  nākāmiyāñ  aa.iiñ
nahīñ  hai  ishq  pahlā  sā  na  pahlī  sī  kashish  baaqī
magar  ab  saath  jiine  kī  ka.ī  majbūriyāñ  aa.iiñ