āḳhirī  sāñsoñ  talak  laḌtī  rahī
zindagī  ummīd  huuñ  kahtī  rahī
chand  jumloñ  meñ  kahī  sab  ke  liye
vo  kahānī  umr-bhar  chaltī  rahī
jaane  kyā  hai  baat  par  manzil  mujhe
rahguzar  chhū  kar  tirī  miltī  rahī
yaad  to  aayā  na  ho  aisā  nahīñ
diid  kī  ḳhvāhish  magar  miTtī  rahī
laakh  ghaav  ko  chhupāyā  thā  magar
zaḳhm  dhakne  kī  ridā  phaTtī  rahī