Arshad Ali Khan Qalaq

aashna hote hi us ishq ne mara mujhko

Arshad Ali Khan Qalaq

1820-1879
āshnā hote hī us ishq ne maarā mujh ko
na milā bahr-e-mohabbat kā kinārā mujh ko
kyuuñ mire qatl ko talvār barahna kī hai
teġh-e-abrū kā to kaafī hai ishārā mujh ko
ḳhud tire daam meñ aayā koī afsūñ na chalā
ai parī tū ne to shīshe meñ utārā mujh ko
mere iisā kā zarā dekhnā e.ajāz-e-ḳhirām
ek Thokar se milī umr dobārā mujh ko
maan.e daulat-e-dīdār na ho ai girya
ruḳh-e-mahbūb kā karne de nazārā mujh ko
dil meñ ik gauhar-e-ḳhūbī kī mohabbat kā hai josh
āj-kal bhātā hai dariyā kā kinārā mujh ko
Dam-dilāse hī meñ Taalā kiye har roz āḳhir
sūkhe ghaaT ai gul-e-tar ḳhuub utārā mujh ko
naqd-e-jāñ nazr karūñ tere phir ai qātil-e-ḳhalq
zinda kar de agar allāh dobārā mujh ko
phalv-e-yār ko ġhairoñ se jo ḳhālī paayā
dil-e-betāb ne kyā kyā na ubhārā mujh ko
maiñ yahāñ muntazir-e-va.ada rahā lekin vo
rah ga.e aur kahīñ de ke sahārā mujh ko
āḳhir insān huuñ patthar kā to rakhtā nahīñ dil
ai buto itnā satāo na ḳhudā-rā mujh ko
apne begāne se ab mujh ko shikāyat na rahī
dushmanī kar ke mire dost ne maarā mujh ko
phande meñ phañs ke maiñ us ke na huā phir jāñ-bar
tār-e-gesū ne tire maar utārā mujh ko
un ko sūjhā na zarā past-o-buland ulfat
ġhair se chiḌh ga.e nazroñ se utārā mujh ko
sadma-sohbat-e-aġhyār na uThegā kabhī
aur jo zulm karo sab haiñ gavārā mujh ko
shaad us se hoñ ki is qātil-e-ālam ne ḳhud aaj
kah ke o āshiq-e-nāshād pukārā mujh ko
jaañ dī ishq meñ us huur ke maiñ ne jo 'qalaq'
qabr meñ aa ke farishtoñ ne utārā mujh ko
Top Urdushayar.com