yagāna  un  kā  begāna  hai  begāna  yagāna  hai
ḳhudā.ī  se  nirālā  un  butoñ  kā  kārḳhāna  hai
nigāh-e-nāz  se  said  apnā  murġh-e-dil  nahīñ  hotā
kabhī  uḌtā  nahīñ  nāvak  se  jo  vo  ye  nishāna  hai
udhar  kaliyāñ  chaTaktī  haiñ  idhar  shor-e-anādil  hai
chaman  meñ  kis  kī  aamad  hai  ye  kaisā  shādiyāna  hai
junūñ  ne  kī  hai  qabr-e-qais  kī  is  tarah  ārā.ish
charāġh-e-ġhūl  raushan  haiñ  bagūla  shāmiyāna  hai
hamārā  hāl-e-dil  sunñe  se  dil  par  choT  lagtī  hai
uḌā  detā  hai  niiñd  āñkhoñ  se  jo  vo  ye  fasāna  hai
phalā-phūlā  na  kisht-e-dahr  meñ  tuḳhm-e-umīd-e-dil
nahīñ  āgāh  jo  nashv-o-numā  se  ye  vo  daana  hai
jahāñ  koshish  zarā  kī  naqd-e-mazmūn  us  se  haath  aayā
zamīn-e-sher  meñ  bhī  dafn  kyā  koī  ḳhazāna  hai
bayāñ  kartā  hai  mere  vasf  aksar  apnī  mahfil  meñ
ye  us  ayyār  kī  mujh  se  lagāvaT  ġhā.ebāna  hai
navā-sanjī  se  merī  bulbuloñ  ke  hosh  uḌte  haiñ
guloñ  se  bhī  kahīñ  rañgīñ  sivā  merā  tarāna  hai
tū  mushtāqoñ  se  apne  chashm-poshī  roz  kartā  hai
tire  dīdār  kī  daulat  bhī  qārūñ  kā  ḳhazāna  hai
urūs-e-marg  se  shādī  huī  hai  ḳhuuñ  se  lab  tar  hai
gale  meñ  ye  shahīd-e-nāz  ke  joḌā  shahāna  hai
kal  un  se  pūchh  leñge  karte  ho  ab  bhī  dil-āzārī
jahāñ  tak  chāheñ  kar  leñ  zulm  aaj  un  kā  zamāna  hai
hameñ  baḳhshe  na  baḳhshe  daḳhl  yā  marzī  meñ  mālik  kī
vagarna  us  kī  rahmat  ko  to  darkār  ik  bahāna  hai
jabīñ-sā  rahte  haiñ  har-dam  malak  jinn-o-bashar  to  kyā
dar-e-daulat  sarā-e-yār  kā  vo  āstāna  hai
anādil  kī  sadā  kyā  buum  bhī  hai  jis  jagah  anqā
'qalaq'  is  gulshan-e-vīrāñ  meñ  apnā  āshiyāna  hai