Arshad Ali Khan Qalaq

Dora nahin hai surme ka chashm-e-siyah mein

Arshad Ali Khan Qalaq

1820-1879
Dorā nahīñ hai surme kā chashm-e-siyāh meñ
baanā paḌā hai yaar ke pā-e-nigāh meñ
har-dam jo maiñ khaTaktā huuñ un kī nigāh meñ
mānind-e-ḳhār uThte haiñ aġhyār raah meñ
ghar us ke dil meñ kar ke ga.ī muft apnī jaan
kashtī hamārī Duub ga.ī aa ke thaah meñ
har-dam vo silk-e-gauhar-e-vīrān huuñ ghūrtā
motī piro rahā huuñ maiñ tār-e-nigāh meñ
miltā nahīñ hai manzil-e-maqsad kā rāhbar
rahzan hī se ho kaash mulāqāt raah meñ
aane kā un ke koī muqarrar nahīñ hai din
aa nikle ek baar kahīñ saal o maah meñ
chhīnā galī meñ apne hasīnoñ ne naqd-e-dil
luuTā hai rahzanoñ ne musāfir ko raah meñ
kartī hai qatl bāñkī adā us kī ḳhalq ko
paTThā lagā hai teġh kā terī kulāh meñ
laḌte hī us se aañkh fanā the habāb-vār
bahr-e-qazā kā ghaaT hai teġh-e-nigāh meñ
dil aa gayā zaqan pe tirī yak-ba-yak mirā
girtā hai koī dīda-o-dānista chaah meñ
ḳhush-chashm tū vo hai ki ġhazālān-e-hind-o-chī
aage tire samāte nahīñ haiñ nigāh meñ
hai shor āmad-āmad qātil jo dair se
hañgāma jāñ-nisāroñ kā hai qatl-gāh meñ
kyā tum ko ḳhat-e-zīst hai itnā to pūchhtā
hotī agar ḳhizr se mulāqāt raah meñ
ai sarv-e-qad gayā huuñ pai-e-sair-e-bāġh jab
lipTā huuñ shajar se tire ishtibāh meñ
ḳhurshīd-o-māh kī bhī jhapaktī hai aksar aañkh
zarroñ kī vo chamak hai tirī gard-e-rāh meñ
aanā hai o shikār-e-fagan gar tujhe to aa
ummīd-vār said haiñ naḳhchīr-gāh meñ
sindūr us kī maañg meñ detā hai yuuñ bahār
jaise dhanak nikaltī hai abr-e-siyāh meñ
ġhaflat ye hai kisī ko nahīñ qabr kā ḳhayāl
koī hai fikr-e-nāñ meñ koī fikr-e-jāh meñ
kahte haiñ dekhte haiñ mubassir agar use
ye jins-e-be-bahā hai hamāre nigāh meñ
kyā duuñ maiñ us ke chehra-e-pur-nūr se misāl
dhabbā lagā huā hai baḌā rū-e-māh meñ
tirchhī nazar se us ne jo dekhā yaqīn huā
bal paḌ gayā hai yaar kī teġh-e-nigāh meñ
aġhyār muñh chhupā.eñge ham se kahāñ talak
hogī kabhī to ham se mulāqāt raah meñ
fariyād ras ke pahūñchī na fariyād kaan tak
armān rah gayā ye dil-e-dād-ḳhvāh meñ
manzil hai apnī apnī 'qalaq' apnī apnī gor
koī nahīñ sharīk kisī ke gunāh meñ
Top Urdushayar.com