Arshad Ali Khan Qalaq

aashiq-e-gesu-o-qad tere gunahgar hain sab

Arshad Ali Khan Qalaq

1820-1879
āshiq-e-gesū-o-qad tere gunahgār haiñ sab
mustahiq daar ke phāñsī ke sazā-vār haiñ sab
paas atibbā ko hai māyūs parastār haiñ sab
tere bīmār-e-mohabbat ke bad-āsār haiñ sab
dil-dahī ke bhī nahīñ tarz se vāqif aslā
ye hasīnān-e-jahāñ naam ko dildār haiñ sab
ab ye sūrat hai mohabbat meñ tumhārī ai jaan
apne begāne mirī shakl se bezār haiñ sab
zulm-e-sayyād sahā jaa.e yakāyak kyūñkar
ham asīrān-e-qafas taaza giraftār haiñ sab
husn yaktā-e-do-ālam hai tirā hī ai dost
terī vahdat ke muqir kāfir-o-dīñ-dār haiñ sab
ek bhī baat na dil le ke nibāheñge huzūr
ye zabānī hī faqat aap ke iqrār haiñ sab
be-zabānī se haiñ majbūr nahīñ sun lete
qaa.il is ābla-pā.ī ke mire ḳhaar haiñ sab
na paḌo fikr-e-dahān-o-kamar-e-yār meñ tum
koī vāqif nahīñ ye ġhaib ke asrār haiñ sab
us meñ tā.ūs-e-chaman ko huī yā kabk-e-darī
ai parī-zād tire Kushta-e-raftār haiñ sab
bārish-e-girya ke hai saath havā āñkhoñ kī
ḳhāna-e-dil kī ḳharābī ke ye āsār haiñ sab
qais-o-farhād ko saudā thā tirā ishq na thā
tere dīvāna-e-jāñ-bāḳhtā hoshiyār haiñ sab
yahī insāf tire ahd meñ hai ai shah-e-husn
vājib-ul-qatl mohabbat ke gunahgār haiñ sab
un butoñ se nahīñ ummīd ḳhudā-tarsī kī
rahm dil un meñ nahīñ ek sitamgār haiñ sab
baat kis tarah dam-e-shikva ho sarsabz apnī
ek apnā nahīñ vaañ un ke taraf-dār haiñ sab
kuchh unheñ qadr nahīñ naqd-e-dil-e-āshiq kī
hasīnān-e-jahāñ zar ke talabgār haiñ sab
kis tavaqqo pe koī bāġh-o-makāñ banvā.e
qabr meñ ek na kaam aa.egā bekār haiñ sab
un dil-āvāroñ ke altāf par ai dil tū na bhuul
rañj kal deñge yahī aaj jo ġham-ḳhvār haiñ sab
fikr-e-īzā meñ mirī kuchh nahīñ tanhā vahī shoḳh
nāz-o-andāz-o-adā aur pa.e āzār haiñ sab
chīda māshūqoñ ke ausāf kiye haiñ mauzūñ
muntaḳhab karne ke qābil mire ash.ār haiñ sab
tujh sā ḳhush-vaz.a ḳhush-andāz na dekhā ab tak
yuuñ to ma.ashūq zamāne ke tarah-dār haiñ sab
bhūle haiñ gardish-e-mīnā-e-falak kā nairañg
ahl-e-zar jitne haiñ mast-e-mai-e-pindār haiñ sab
dostī kar ke 'qalaq' un se bahut pachhtātā
dushman-e-jāñ mire ḳhūbān-e-jafā-kār haiñ sab
Top Urdushayar.com