Arshad Ali Khan Qalaq

but-parasti ne kiya aashiq-e-yazdan mujhko

Arshad Ali Khan Qalaq

1820-1879
but-parastī ne kiyā āshiq-e-yazdāñ mujh ko
parda-e-kufr meñ hāsil huā īmāñ mujh ko
ab dar-e-andāzī-e-aġhyār nahīñ chal saktī
ḳhuub pahchānte haiñ yaar ke darbāñ mujh ko
ḳhāl-e-ruḳh ḳhizr-e-rah-e-kufr na hotā jo tirā
daam meñ lā hī chuke the ye musalmāñ mujh ko
jis meñ kuchh hotī hai ummīd-e-visāl-e-ma.asūq
itnī khaltī nahīñ vo gardish-e-daurāñ mujh ko
ye na ma.alūm thā is rañg se aa.egī bahār
tauba-e-mai ne kiyā saḳht pashemāñ mujh ko
ishq ne mansab-e-ushshāq jo taqsīm kiye
baaġh bulbul ko diyā kūcha-e-jānāñ mujh ko
dil-jalā maiñ huuñ vo āshiq ki shab-e-hijr 'qalaq'
sham.a bhī rone lage dekh ke giryāñ mujh ko
Top Urdushayar.com