Arshad Ali Khan Qalaq

milta hai qaid-e-gham mein bhi lutf-e-faza-e-bagh

Arshad Ali Khan Qalaq

1820-1879

miltā hai qaid-e-ġham meñ bhī lutf-e-fazā-e-bāġh

chāk-e-qafas se aatī hai farfar havā-e-bāġh

roke zabāñ na bulbul-e-bustāñ sarā-e-bāġh

dohrā.e phir mire se kaho mājrā-e-bāġh

sunte haiñ ab aa.ī hai kis dhuum se bahār

kyā phaḌak rahā hai qafas meñ barā.e baaġh

kin chahchahoñ meñ apnī basar hotī thī mudām

ai ham-safīr kyā ho bayāñ mājrā-e-bāġh

guzre nasīm idhar se to pūchheñge ham asiir

ham ko bhī yaad karte haiñ naġhma-sarā-e-bāġh

ai ham-safīr ab to chale qaid ho ke ham

taqdīr dekhiye hameñ phir kab dikhā.e baaġh

mujh mast chaman meñ shanāsā koī nahīñ

ik duḳht-e-raz qadīm se hai āshnā-e-bāġh

paate haiñ sarv-e-gul meñ tirī shakl qadd-o-ruḳh

furqat meñ kahīñ nahīñ lagtā sivā.e baaġh

us din se apne bulbul-e-dil ko hai ishq-e-gul

gulzār-e-dahr meñ huī jaise binā-e-bāġh

miltā nahīñ hai naḳhl-e-tamannā se yaañ samar

phir koī kis umiid pe is lagā.e baaġh

nargis hai vo aañkh na gul vo rañg hai

chaltī hai ab saal muḳhālif havā-e-bāġh

ab chahchahe haiñ vo na navā-sanjiyāñ haiñ vo

shāyad guzar gayā 'qalaq'-e-ḳhush-navā-e-bāġh

Top Urdushayar.com