Arshad Ali Khan Qalaq

huzur-e-ghair tum ushshaq ki tahqir karte ho

Arshad Ali Khan Qalaq

1820-1879
huzūr-e-ġhair tum ushshāq kī tahqīr karte ho
mohabbat karne vāloñ kī yahī tauqīr karte ho
abas tum ḳhvāhish-e-vasl-e-but-e-be-pīr karte ho
jo qismat meñ nahīñ hai us kī kyā tadbīr karte ho
zamīn-o-āsmāñ kā farq hai ḳhurshīd-o-zarre meñ
muqābil chāñd se kyā yaar kī tasvīr karte ho
dam-e-āḳhir laḌe vahshī ke zindāñ meñ ye ġhul hogā
sitam karte ho vīrāñ ḳhāna-e-zanjīr karte ho
jo mujh saudā-zada ne kī kabhī tashrīh zulfoñ kī
to bole hañs ke kyā uljhī huī taqrīr karte ho
musāfir ke liye hai fikr-e-gor ai mun.imo lāzim
imārat kyā sarā-e-dahr meñ ta.amīr karte ho
sahar tak niiñd uḌ jaatī hai ham-sā.e kī to be-shak
asar kyā ḳhaak aur ai nāla-e-shab-gīr karte ho
jo mashq-e-harf-e-lā kartā huuñ kahte haiñ daqīqa-ras
muamā-e-dahān-e-yār kyā tahrīr karte ho
abas dil toḌ kar yād-e-butāñ meñ mahv ho itnā
ḳhudā ke ghar ko Dhā kar but-kada ta.amīr karte ho
hamāre ba.ad aaoge to kyā ai nāma-bar kahnā
ham āḳhir hote haiñ aane meñ tum tāḳhīr karte ho
ḳhat-o-ruḳh kī sifat meñ raT lagī rahtī hai jo tum ko
'qalaq' kyā hifz qur.āñ kā ma-e-tafsīr karte ho
Top Urdushayar.com