mire  qarīb  se  guzrā  ik  ajnabī  kī  tarah
vo  kaj-adā  jo  milā  bhī  to  zindagī  kī  tarah
milā  na  thā  to  gumāñ  us  pe  thā  farishtoñ  kā
jo  ab  milā  hai  to  lagtā  hai  aadmī  kī  tarah
kiran  kiran  utar  aa.ī  hai  rauzan-e-dil  se
kisī  hasīñ  kī  tamannā  bhī  raushnī  kī  tarah
mirī  nigāh  se  dekho  to  ham-zabāñ  ho  jaao
ki  dushmanī  bhī  kisī  kī  hai  dostī  kī  tarah
na  milne  vaale  kināroñ  kā  naam  Thahrā  shauq
gurez-pā  hai  jahāñ  husn  ik  nadī  kī  tarah
na  khul  sakā  to  lahū  ho  ke  bah  gayā  hai  dil
kabhī  khilā  to  mahak  uThegā  kalī  kī  tarah
hazār  sher  haiñ  aur  ek  ḳhāmushī  kī  adā
hazār  rañg  haiñ  aur  ek  sādgī  kī  tarah
bahut  dinoñ  meñ  mile  haiñ  ham  aaj  'ishqī'  se
nahīñ  vo  phir  bhī  koī  shaḳhs  hai  usī  kī  tarah