nuqūsh-e-rahguzar-e-shauq  sab  miTā  denā
rahī  hai  jaañ  so  use  bhī  kahīñ  gañvā  denā
rah-e-hayāt  meñ  har  moḌ  par  hai  ik  uljhan
bichhaḌ  na  jā.ūñ  kahīñ  dosto  sadā  denā
ġhubār-e-vaqt  ne  dhuñdlā  diye  haiñ  is  ke  nuqūsh
zarā  charāġh-e-mohabbat  kī  lau  baḌhā  denā
sunā  hai  shahr  meñ  phir  aa  gayā  hai  vo  qātil
mile  to  dosto  merā  pata  batā  denā
talab  to  karnā  mirī  umr-e-rā.egāñ  kā  hisāb
hisāb  tūl-e-shab-e-hijr  kā  chukā  denā