laa.e  to  naqd-e-jāñ  sar-e-bāzār  kyā  kaheñ
har  shaḳhs  hai  usī  kā  ḳharīdār  kyā  kaheñ
ik  dāstān-e-tesha  har  ik  sañg-o-ḳhisht  hai
kyuuñ  bolte  nahīñ  dar-o-dīvār  kyā  kaheñ
us  kī  galī  se  pher  ke  le  aa.e  jān-o-dil
kitnā  hai  zindagī  se  hameñ  pyaar  kyā  kaheñ
dushman  hue  haiñ  apne  hue  jab  se  us  ke  dost
ḳhud  ko  kaheñ  divāna  ki  hoshyār  kyā  kaheñ
ham  bhī  vahī  haiñ  tum  bhī  vahī  shahr  bhī  vahī
haa.il  magar  hai  vaqt  kī  dīvār  kyā  kaheñ
sāz-e-shikast-e-dil  to  sadā  se  ḳhamosh  hai
hotā  hai  kaise  sher  meñ  iz.hār  kyā  kaheñ