raat  hai  shahr-e-butāñ  hai  aur  ham
ārzū-e-be-karāñ  hai  aur  ham
kaun  guzrā  hai  sar-e-rāh-e-ḳhayāl
duur  tak  ik  kahkashāñ  hai  aur  ham
raat  kī  Dhaltī  javānī  ke  rafīq
sirf  ik  pīr-e-muġhāñ  hai  aur  ham
bujh  chale  haiñ  saare  yāroñ  ke  charāġh
ab  charāġhoñ  kā  dhuāñ  hai  aur  ham
har  zamāne  meñ  milī  haq  ko  salīb
ye  qamīs-e-ḳhūñ-chakāñ  hai  aur  ham
be-sutūñ  taqdīr-e-har-farhād  hai
ik  mazāq-e-ḳhusravāñ  hai  aur  ham
jis  meñ  jur.at  ho  vo  muḌ  kar  dekh  le
ek  umr-e-rā.egāñ  hai  aur  ham