un se māyūs-e-iltifāt nahīñ
go ba-zāhir tavaqquāt nahīñ
ishq hī vaj.h-e-mushkilāt nahīñ
yuuñ bhī ġham se kahīñ najāt nahīñ
ishq kī azmateñ bajā lekin
ishq hī maqsad-e-hayāt nahīñ
jin ko āsā.isheñ mayassar haiñ
vo bhī āsūda-e-hayāt nahīñ
ishq hai tāb-āzmā lekin
aap chāheñ to koī baat nahīñ
vo ḳhafā aur ik jahāñ dushman
ab koī sūrat-e-hayāt nahīñ
azm-e-takmīl-e-'ārzū' karte
zindagī ko magar sabāt nahīñ