Khalid Raheem

apni na-karda-gunahi ka sila bhi rakh le

Khalid Raheem

apnī nā-karda-gunāhī kā sila bhī rakh le
dil ke ḳhāne meñ zarā ḳhauf-e-ḳhudā bhī rakh le
tujh ko le jā.egī sannāTe meñ ik roz hayāt
apne kānoñ ke liye sañg-e-sadā bhī rakh le
bujh na jaa.e kahīñ ehsās ke sho.aloñ kā mizāj
munjamid vaqt hai thoḌī sī havā bhī rakh le
fāsla aur baḌhā degī anā kī dahlīz
darmiyāñ zīna-e-iḳhlās-e-vafā bhī rakh le
zindagī dasht-e-tilismāt kī jānib hai ravāñ
kuchh to hamrāh buzurgoñ kī duā bhī rakh le
roz kā milnā girāñ-bār-e-ta.alluq na bane
be-sabab us se kabhī ḳhud ko judā bhī rakh le
Top Urdushayar.com