Khalid Raheem

tarik zindagi ko banane laga hai wo

Khalid Raheem

tārīk zindagī ko banāne lagā hai vo
sūraj se raushnī ko churāne lagā hai vo
likh likh ke mere naam aziyyat ke dasht-o-dar
jāgīr mere ġham kī baḌhāne lagā hai vo
ehsās kī salīb liye chal rahā huuñ maiñ
dasht-e-junūñ meñ shor machāne lagā hai vo
mujh se hī le ke mere salīqe kī raushnī
tahzīb kī zabān sikhāne lagā hai vo
taḳhlīq-e-kā.enāt kā gar maiñ sabab rahā
phir kyuuñ mirā vaqār ghaTāne lagā hai vo
parvardigār merī shahādat qubūl kar
talvār le ke sāmne aane lagā hai vo
'ḳhālid' maiñ us ke haath kī tahrīr thā magar
harf-e-ġhalat samajh ke miTāne lagā hai vo
Top Urdushayar.com