na  ham  mahv-e-ḳhayāl  abrū-e-ḳham-dār  sote  haiñ
sipāhī  haiñ  zi-bas  bāñdhe  hue  talvār  sote  haiñ
tumhārā  sote  sote  chauñk  paḌnā  khab  gayā  dil  meñ
ki  aksar  ḳhud-baḳhud  ho  ho  ke  ham  bedār  sote  haiñ
ilāhī  ham  ko  hai  kis  kā  ḳhayāl-e-ḳhvāb-o-be-dārī
jo  lākhoñ  haar  uThte  haiñ  hazāroñ  yaar  sote  haiñ
nigāh-e-mast-e-sāqī  meñ  hai  kyā  dārā-e-be-hoshī
ki  sāġhar  lag  rahā  hai  muñh  se  aur  mai-ḳhvār  sote  haiñ
na  kar  vasvās  dil  meñ  chal  vahāñ  'mārūf'  be-khaTke
ki  darbān  ūñghtā  hai  aur  chaukīdār  sote  haiñ