le  chalo  mujh  ko  us  ā.īna-e-ruḳhsār  ke  paas
ḳhaak  us  ziist  pe  jo  yaar  na  ho  yaar  ke  paas
nargis-e-chashm  kā  mat  rakh  dil-e-ranjūr  ḳhayāl
ya.anī  bīmār  ko  rakhte  nahīñ  bīmār  ke  paas
sar  mirā  tan  se  agar  duur  kiyā  sar  sadqe
rakhiyo  qātil  to  mujhe  apnī  hī  dīvār  ke  paas
chashm-e-mast  us  kī  se  āḳhir  ko  hoī  ham  bhī  ḳharāb
hai  yahī  us  kī  sazā  baiThe  jo  mai-ḳhvār  ke  paas
yuuñ  ḳhayāl  us  kā  sar-afrāz  kare  hai  'mārūf'
shah  qadam-ranja  kare  juuñ  kasū  nādār  ke  paas