dil  nahīñ  us  lab-e-ḳhandāñ  kī  taraf  jaatā  hai
tishna-lab  chashma-e-haivāñ  kī  taraf  jaatā  hai
yaar  tujh  bin  mujhe  le  jaate  haiñ  yuuñ  baaġh  meñ  khīñch
jaise  mujrim  koī  zindāñ  kī  taraf  jaatā  hai
mahv  yaañ  tak  huuñ  tasavvur  meñ  tire  az-rah-e-shauq
haath  har  dam  tire  dāmāñ  kī  taraf  jaatā  hai
bad-gumāñ  ye  huuñ  ki  saath  uTh  ke  chalā  jaatā  huuñ
vahm  gar  kūcha-e-jānāñ  kī  taraf  jaatā  hai
kyā  kisī  parda-nashīñ  par  hai  tū  āshiq  'mārūf'
chhup  ke  jo  gosha-e-pinhāñ  kī  taraf  jaatā  hai