bas  hī  hameñ  yak  nazar  misl-e-sharar  dekhnā
kis  ko  mile  bā-nasīb  bār-e-digar  dekhnā
ā.ina-sāñ  kyā  ġharaz  ham  ko  bad-o-nek  se
sāmne  jo  aa  gayā  ek  nazar  dekhnā
aur  to  bāteñ  burī  chhaT  ga.iiñ  sab  jīte-jī
aañkh  muñde  par  chhaTā  ek  magar  dekhnā
sar  ko  uTh  kar  zarā  dekhiye  merī  taraf
aa  ke  udhar  baiThnā  aur  idhar  dekhnā
dekhiye  'mārūf'  ab  kyuuñ  ki  dil-o-dīñ  rahe
is  but-e-kāfir  kā  hai  ye  hī  agar  dekhnā