Maroof Dehlvi

chupke chupke ek to Tis aap jamani auron se

Maroof Dehlvi

chupke chupke ek to Tiis aap jamānī auroñ se
tis ulTī ham ko tohmat aa ke lagānī auroñ se
ham se to bas bāñdhe rakhtī sharm kī paTTī āñkhoñ par
chorī chorī mahfil meñ par aañkh laḌānī auroñ se
auroñ ke to ham se na kahne ham se le kar jī kī baat
juuñ kī tuuñ sab baat ye kyuuñ jī jā ke sunānī auroñ se
mujh se kaho ho aaheñ bhar bhar huuk jigar meñ uThtī hai
aur yūñhī dar-parda apnī chaah jatānī auroñ se
lauñg khilā.eñ ham jo kabhī to us ko Daalo muñh se thuuk
aur ye kyuuñ jī roz mufārreh chhīñke khānī auroñ se
auroñ ke to ghar meñ jā kar dauḌ ke piinī aap sharāb
mere aage pī nahīñ sakte maañg ke paanī auroñ se
ham jo paḌheñ koī sher to kahnā sher se ham ko zauq nahīñ
'mīr'-hasan ke ghar meñ kahānī jā ke paḌhānī auroñ se
parda is meñ kyā hai pyāre duniyā meñ 'mārūf' hai ye
āshiq se hai bair tujhe aur ulfat jaanī auroñ se
Top Urdushayar.com