Syed Arif

laghzishon se mawara tu bhi nahin main bhi nahin

Syed Arif

1949

laġhzishoñ se māvarā bhī nahīñ maiñ bhī nahīñ

donoñ insāñ haiñ ḳhudā bhī nahīñ maiñ bhī nahīñ

mujhe aur maiñ tujhe ilzām detā huuñ magar

apne andar jhāñktā bhī nahīñ maiñ bhī nahīñ

maslahat ne kar diyā donoñ meñ paidā iḳhtilāf

varna fitrat burā bhī nahīñ maiñ bhī nahīñ

chāhte donoñ bahut ik dūsre ko haiñ magar

ye haqīqat māntā bhī nahīñ maiñ bhī nahīñ

jurm nauiyyatoñ meñ kuchh tafāvut ho to ho

dar-haqīqat pārsā bhī nahīñ maiñ bhī nahīñ

raat bhī vīrāñ fasīl-e-shahr bhī TuuTī huī

aur sitam ye jāgtā bhī nahīñ maiñ bhī nahīñ

jān-e-'ārif' bhī ziddī thā anā mujh meñ bhī thī

donoñ ḳhud-sar the jhukā bhī nahīñ maiñ bhī nahīñ

Top Urdushayar.com