kahīñ pe ḳhvāb kahīñ ḳhvāb kā gumāñ niklā
yahāñ bhī aadmī āḳhir ko be-nishāñ niklā
sanam tarāshe haiñ tū ne hī apnī marzī se
jabīn-e-shauq tirā hausla kahāñ niklā
agar azaab se nikle to ye bhī dekheñge
zamīñ ke kaun se hisse se āsmāñ niklā
guzartī shaam ke manzar pe raat hañs ke to dekh
mire lahū kā agar sho.ala-e-nihāñ niklā