Anjum Fauqi Badayuni

hudud-e-zat mein auron ka zikr hi kya hai

Anjum Fauqi Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1911-1995

hudūd-e-zāt meñ auroñ zikr kyā hai

ḳhud aadmī bhī na samjhā ki aadmī kyā hai

ye fāsle jo tire qurb zamānat haiñ

simaT ga.e to batā.ūñgā zindagī kyā hai

hamī ko ḳhaak samajh lo tumhārī umr-e-darāz

ye tazkira to mukammal ho aadmī kyā hai

hijāb-e-zāt se bāhar kahāñ abhī ham log

abhī ye kaun batā.e ki aadmī kyā hai

kahā na thā ki mohabbat tazkira na karo

kise ḳhabar thī ki me.arāj-e-zindagī kyā hai

savāl ye hai ki tum kyā nigāh rakhte ho

niyāz-mand to vāqif hai bandagī kyā hai

ravā nahīñ hai musalsal gurez-e-naqd-o-nazar

kabhī kabhī to batāo ki zindagī kyā hai

abhī to mujh se ḳhudā.ī had meñ baat karo

ḳhudā bano to batānā ki aadmī kyā hai

jabīn-e-shauq pe sajdoñ ke daaġh ai 'anjum'

ye bandagī hai to me.ār-e-bandagī kyā hai

Top Urdushayar.com